Sunday, February 12, 2012

Sapne

Sachhe sapne
Kachhe sapne
Pure sapne
Adhure sapne
Adhkulee ankho ke anbujhe sapne

Bebas sapne
Bebak sapne
Bhagti jindagi mein pichhe chhut jate azad sapne

Pak sapne
Gustakh sapne
Ankho mein base beintahn sapne

Anjan sapne jo anayas ban jate apne sapne
Aaj sabhi hai apne; par fir bhi hain sapne.

No comments:

Post a Comment